Adhar card Aaj kal hamare liye bahut Important ho gaya hai. Koi bhi kaam karne ke liye Adhar card ki hi jarurat hoti hai.Esliye iski Suraksha karna bhi bahut jaruri hai.To aaiye janate hai ki kaise ham apne Adhar card ko online lock or unlock kaise kare or misuse se kaise bache.

Kyoki Aaaj kal har cheej ke liye hame adhar card ki jarurat hoti hai. Yah ek bahut hi Important document ban gya hai. Jiske wina ham kuch bhi kaam nahi kar sakate hai. Ab Identity Proof ke liye hamare paas adhar card ka hona bahut jaruri hai.

Yah to aap sabhi jante hi hai ki adhar card me hmari puri biomentric information provide ki jati hai. Jaise finger print scan, Eyes recognization ( retinal) etc.Kyoki Yah 2 cheeje to har kisi ki alag alag hoti hai. Lekin fir bhi kuch khabaro ke according kayi logo ka adhar data leak ho gya tha.

Esliye ab kisi bhi jagah yaani bank yaa Sim ke liye apne adhar ki suraksha jarur rakhe. Uske liye ab Biometric e-KYC suvidha kaa prayog kare.

Yah bhi Padhe- Aadhar Card Ke Liye Apply Karne Ka Sahi Aur Asaan Tarika

Biometric e-KYC Ka Kya Matalab Hai-

  • Jab bhi aap apne adhar card apni personal details dalte ho jaise Name, address, Date of birth, Gender Mobile Number etc.Uske anusar hi aapki biometric jaankari ko store karta hai.Jisme Biometric hoti hai.
  • Maan lijiye ki aap apna bank account open karwana chahte hai.To uske liye aapko adhar card ki jarurat hogi.Lekin ab esa nahi hai kyoki ab uske liye Biometric ki suvidha pradan ki gayi hai. Ab aap apne adhar card number ki wajai apni biometric de sakte hai.
  • Ab aapko keval bankar ko adhar card ka number dena hai. Aur aage ki process ke liye wo aapka Biometric karenge.Aur banker aapke finger print ki ko aapke adhar se scan karayga. Jisse yah proof hoga ki jo adhar card number aapne diya hai wo aapka hi hai.Aur ab aapko apne Adhar card ki copy jama karne ki jarurat nahi hogi.
  • Ab kisi tarah ki data leak hone kaa dar nahi hai. Or naahi aapke adhar card ka leak hone ka hai. Ab hard copy jaama karne waali prakriya bilkul khatam kar di gayi hai.Jisse ki ab iska durupyog hone se bachega.
  • 1

    Agar ab bhi koi aapke Adhar card ka misuse karna chahega. Jiase hi wo aapka Adhar number upyog karke KYC karna chahega. To usi samay aapke pas aapke phone or email par SMS prapt hoga. 

Adhar Card Ko Lock Kaise Kare-

Yah bhi Padhe- Apne Aadhaar Card Ka Address Online Kaise Badle? Sahi Jaankari

Aaiye dekhte hai ki Adhar card ko lock kaise karate hai-

1. Sabse pahle aap UDAI Adhar card biometric locking link par jaaye.
2. Ab aapko apna 12 digits ka Adhar card number or code enter karna hai.Or uske baad Send OTP par click karna hai.
3. Ab aapke Adhar se link mobile number par aapka ek OTP aayga.Ab aapko side me jo Enter OTP ka box hai usme OTP enter karna hai.
4. Ab Log in Karna hai. Ab apna security code enter karke Enable karna hai.
5. Ab aapke pas Apki adhar card ki biometric information lock karne ka SMS aa jayga.
Yah Adhar card ko Lock karne ka process tha. Ab Unlock karne ka process dekhate hai.

Adhar Card Ko Online Unlock Kaise Kare-

1. Apne adhar card ko unlock karne ke liye bhi aapko same UIDAI adhar card locking link par jana hai.UIDAI
2. Ab aapko apna 12 digits ka Adhar card number or code enter karna hai.Or uske baad Send OTP par click karna hai.
3. Ab aapke Adhar se link mobile number par aapka ek OTP aayga.Ab aapko side me jo Enter OTP ka box hai usme OTP enter karna hai.
4. Ab aapko apna code enter karke Unlock par click karna hai. Or ab aapko ek SMS dwara suchit kar diya jaayega ki aapka Adhar card unlock ho gaya hai.
Ummid karte hai ki aapko hmare dwara btayi gayi Adhar card ko online lock or unlock kaise kare or misuse se kaise bache. ki process samajh aa gayi hogi. Esliye aap is article ko like kar share kare. Jisse aapke friends bhi apne apne adhar card ko protect kar sake.

By

Leave a Reply