Dhumrapaan sehat ke liye haanikarak  hai. ye jante sab hain lekin kisiko iski parwah nahi hoti. dhumrapaan karne se cancer hota hai aur aapka phephda bhi damage hota hai. lungs cancer ki badi wajah hai dhumrapaan. itna sab kuch jante ke baad bhi log iske aadi hain. phephde ko damage se bachane ke liye ise

saaf karte rehna bohot jaruri hai. is post mein mai aapko bataunga 3 din mein phephda kaise saa karte hain.


Mai aapke samne ek plansheet rakhne wala hoon jise follow karke aap apne phephde ko saaf kar sakte hain.

Ise aap teem din tak niyamanusar follow karein.
1. subah jagne ke baad ek glass mein 2 nimbu nichor kar khane se pehle pee lein.
2. Din ke samay mein chocolate ya ananas ka juice peeyein.
3. Breakfast ya lunch ke baad ek glass gajar ka juice peeyein.
4.sone se pehle ek glass cranberry ka juice jarur peeyein. 
5. 7 din tak garam paani se minimum 15 minutes nahayein.
6.Neelgiri ke tel ki 4-5 boond garam paani mein daal kar uska vaasp(vapour) lein. dhayan rahe ki aap sir(head) tauliye se cover kar lei n aur uske andar cover hokar vaasp lein. 10 minutes tak aisa karein.
aap aise 3 din tak lagatar niyamon ke anusaar .
ye saari chhejein aapke phephdo mein fase hue bacteria ko marne mein madad karta hai. wo saare bacteria aapke shareer se paseene ke roop mein bahar aa jaega. ye saari cheejein karne par ye aapke blood flow ko tez karega aur lungs saaf karne mein madad karega.

 

dhyan rahe ki aap 7 din tak dhumrapaan naa karein. ise lungs saaf hone mein baadha aaegi. aap ise ek baar jarur try karein aur batayein. aisa karne se aapka phephda saaf ho jaega. aur koshish karein ki dhumrapaan se dur rahein.apni vichaar hume comment box mein jarur batayein. aapko agar koi madad chahiye to aap comment  karein. aapke sujhaw ko sunna pasand karunga.

By Sahi Tarika

Sahi Tarika Ek Koshish hai Sabko HarCheez Ka Aasaan Aur Sahi Tarika Batane Ki. Ye Ek Educational Blog Hai, jisme koshish ki gayi hai bahut si baate batane ki jo hume roz ki zindagi me zarurat padti hai. Aapko humse kuch bhi poochna ho, ya koi nayi jaankari chahiye ho toa hume email kare [email protected]. Humari Koshish rahegi ke hum hamesha aapko Sahi Jaankari dete rahe.

Leave a Reply