Aaiye aaj ham aapko btate hai ki twitter par aap apna account kaise banate hai. Aur twitter par bane huye account ko kaise delete karte hai.Twitter ek esa plateform jiske dwara log kam shabdo me apni baat kah sakte hai. Aur use dusro tak pahucha sakte hai.

Twitter par bade bade naami log bhi active rahte hai. Chahe wo prime minister ho yaa koi celebrity. Wo log koi bi baat twitter ke jariye hi logo tak pahuchate hai.Aur aap ko btade ki India me twitter users bahut teji se badh rahe hai.

To aap bhi agar apna twitter account banana chahte hai. To me aapko btati hu ki Twitter par account kaise banate hai.Aur agar aap twitter use karte karte boring feel karne lage ho yaa kisi aur wajah se apna twitter account delete karna chahte hai. To Account delete karne ka bhi tarika me aaj aapko btati hu.Uske liye aapko in sabhi steps ko follow karna hai.

Account Create Karne Ka Tarika-

  • Sabse pahle aap http://twitter.com par jaaye. Aur Sign-up par click kare.
  • Ab aapko apna pura Name,Phone/Email, Aur Password dalna hai.
  • Ab aapko Sign-up par click karna hai.
  • Ab Mobile Number Enter karna hai. Aur next par click karna hai.
  • Ab Aapke Mobile Number ko verify karne ke liye aapke number par ek Text code bheja jayga.
  • Ab aapko Yaha par verification code likhna hai.
  • Ab aapko Sign-up karne ke baad User name dalna hoga.Waise to twitter bhi aapko kuch user name dega. Aap unme se bhi koi username chun sakte hai.Aur Apni pasand se bhi name dal sakte hai.Lekin yah bhi ho sakta hai. Ki aapke dwara dala gaya name pahle se hi ho. To aap wo nhi daal sakte hai.
  • Ab apne phone, username, password, name ko ek Baar fir se check Karle.
  • Ab Create My Account par click kare.
  • Aapka twitter account ban gaya hai.Aur ab aap apni profile or cover image lgakar apni profile ka beautification kar sakte hai.

Account Ko Delete Karne Ka Tarika-

  • Sabse Pahle www.twitter.com par jakar apna account sign-in kare.
  • Ab account settings me Jaye.Settings me sabse neeche deactivate my account par click kare.
  • Ab account deactivation Information ko Sahi se padhe. Aur uske baad deactivate my account ko OK karde.
  • Ab aapse aapke account ka password puchega. To aap password enter kare. Isse verifies ho jayega ki aap Apna account deactivate Karna chahte hai.
  • Is tarah se aap apna account deactivate kar sakte hai.

 


Yah Bhi Sikhe-

Facebook Account Ko Deactivate Kaise Kare-Hindi Mai Sahi Jankari

Facebook Se Video Download Karne Ka Aasan Tarika

Kisi email ka reply karne ka sahi aur asaan tarika

Hame ummid hai ki aapko Twitter par aacount kaise banate hai or twitter account ko delete kaise karte hai. Sikh gaye honge.

By

Leave a Reply