High Level Programming Language Kya Hoti Hai ? Aur Iska Use Kaha Hota Hai ?

Pragramming language ko lekar bahut se logo ko confusion rahta hai. Ki yah kya hoti hai. Isse kya hota hai. Aur iske fayde kya hote hai. Ise kis liye Istemal ( Use ) kiya jata hai. To aaiye aaj ham aapko batate hai ki programming Language kya hoti hai. Aur yah kitne prakar ( Type ) ki hoti hai.

What Is Programming Language ?( Programming Language Kya Hai.)

Yah Bhi Padhe-  Computer Ka Processor Kaise Change Kare| Magic

Programming Language wo hoti hai. Jisme computer ke saare instructions hote hai. Programming language ko ham set of instructions bhi bolte hai. Yah ek tarah ki formal language hai. Jise ham koi bhi input yaa task dete hai. To yah use complete karke hame output provide karati hai. Jo bhi developers hote hai. Wo is language ka use karke Software, Game or script teyaar ( Ready ) Karne Ke Liye Karte Hai.Software,Game etc banane ke liye jo bhi instructions istemal hoti hai. Use programming language Kaha jata hai.

Types Of Programming Language.( Programming Language Ke Prakar )-

Yah Bhi Padhe-  Computer Expert Banane Ke Liye In 7 Steps Ke Bare Padhiye

 1. Machine Language-

Computer ko hamari normal language nahi samjh aati hai.Usko keval machine language hi samjh aati hai. Computer programs in language mai likhe jaate hai. Java, c++, C, etc. Lekin computer is language ke programs ko bhi directly nahi samjh paata hai. Computer iske instructions ko binary me convert karta hai. Uske baad hi samjh kar output deta hai. Yaani ki computer ko keval binary hi samjh aati hai.

2. Assembly Language-

Yah ek low level ki programming language hai. Assembly mai ham commands ka istemaal karte hai.Lekin machine language me sirf binary numbers ka istemaal kiya jata hai. Assempbly language ka istemaal CPU ke liye kiya jata hai. Isme ham number ki wajaay name se command dete hai.Ise ham Symbolic machine code ke naam se bhi jante hai.

3. High-Level Language-

Ham jo bhi software, game,Applications, Program rojaana istemaal karte hai. Wo High level language me hi bane hote hai. isko run karane ke liye hame browsers ki bhi need hoti hai. High level language mai agar koi program likha hua hai to use computer samjhne ke liye compile karke binary me yaani ki machine langauge mai convert karta hai.Ise ham HLL bhi kahte hai.

Yah Bhi Padhe-  Computer Ke Bare Mai Puri Jankari Hindi Mai, Janiye Computer Kya Hai.

Ham ummid karte hai ki aapko hamare dwara batayi gayi yah Programming Language Kise Kahte Hai Or Yah Kitne Prakar Ki Hoti Hai se aap puri tarah sahmat hai. Agar aap isi prakar ki hindi me sahi jankari ke liye isko like or comment karke hame btaye.

Note- Isi prakar se aap agar aur koi jankari kisi aur cheej ke baare me prapt karna chahte hai. To aap comment kare.

By

Leave a Reply