Agar aap online paisa kamana chahte hai, toa aapke paas apna ek Paypal Account hona zaruri hai. Paypal aapke ek online bank ki tarah hota hai jaha se aap pure duniya me paisa manga ya bhej sakte hai. Paypal account aap free me bana sakte hai. Iss blog me hum aapko batayenge ke Paypal Account Banane Ka Aasaan Aur Sahi Tarika kya hai.

 

Paypal Account Banane Ka Aasaan Aur Sahi Tarika neeche bataya gaya hai

 

Paypal ek online bank hai jaha se aap paise de ya mangwa sakte hai. Online payment me Paypal puri duniya me use kiya jaata hai. Agar aap online paisa kamana chahte hai toa aapko Paypal Account banana bahut zaruri hai. Paypal account banane se aap duniya me kahi se bhi paisa mangwa sakte hai aur duniya me kahi bhi paisa bhej sakte hai.

Agar aap apni khud ki website banana chahte hai. Toa Domain aur Server Sabse Sasta Yaha se Le. (Hostinger)

Abhi Padhe:  Aasaan Aur Sahi Tarika Internet Se Ghar Baithe Paisa Kamane ka

 

Aapke paise Paypal account se aapke bank me 1 se 3 din ke andar transfer ho jaate hai. Aap agar chahe toa setting me daal sakte hai ke aapke paise automatically aapke bank account me transfer ho jaye. Paypal ek bank ki tarah hi hai jaha aapke paise safe hote hai, in paiso ko ya toa aap apne Bank account me transfer kar sakte hai, ya toa wahi Paypal account me rehne de sakte hai. Paypal account ke paiso se aap bahut si online shopping bhi kar sakte hai.

 

Paypal Account Kholne ke liye Zaruri hai Do Cheeze

 

  • Aapka PAN Card
  • Apka Apna Bank Account

 

In dono ke bina aapka Paypal account toa ban jayega, magar wo unverified hi reh jayega. Unverified account me bhi paise mangwa ya bhej sakte hai magar usme bahut si ristrictions yaani rukawate rehti hai.

 

Paypal account khona bahut hi aasaan aur Free hai aur aapki apni khud ki email ID aapka Paypal Account ID hoti hai

 

 

Neeche Step by Step Sahi tarika bataya gaya hai ke aap apna khud ka Paypal account Free me kaise khol sakte hai.

 

Step 1:

Sabse Pehle aap Ye Link Khole :    https://www.paypal.com/in/home

Kuch neeche diye gaye photo jaisa khulega.

paypal account me register

 

Step 2:

Ab isme aapko “Sign Up” pe click karna hai.

Sign Up ke baad aapse ye poochega ke ye aapka “Individual Account” hai Ya “Business Account”.

paypal ke account ka type

Individual account yaani aapka khud ka, jisme aap kisi company ka naam nahi use kar rahe. Agar aap koi business karte hai company ke naam se aur usi se related paisa mangwana chahte hai toa aap “Business Account” pe click kare. Warna “Individual Account” pe.

 

Step 3:

Ab ye aapse poochega aapka email address. Yaad rakhe yahi email address aapka Paypal ka account number hoga. Toa wahi email address daale jo aapka apna ho, aur aap hi sirf use karte ho. Uske baad aapna ek unique sa Password choose kare. Bahut aasaan password bhi na rakhe. Kyuki isme paiso ka len den hota hai, ise secure karna bahut zaruri hai. Koi mushkil sa password rakhe. Uske baad “CONTINUE” pe click kare.

paypal ke individual account me register

Abhi Padhe: Email ID banane ka sahi aur asaan tarika

 

Step 4:

Ab ye aapse kuch jaankari yaani Information lega. Saare detail bilkul sahi fill kare. Uske baad I agree waale box pe tick kare. Fir “Agree and Create Account” Pe click kare. Agar aapne kuch galat fill kiya hoga, toa Red color se error aa jayega. Jaha pe error hoga waha pe dubara se sahi kar le.

paypal registration tarika

 

Step 5:

Ab ye aapse aapka Credit/ Debit Card ka detail mangega. Agar aap chahe toa de sakte hai (isme koi paisa nahi kat ta aur ye safe hai). Agar aap abhi nahi dena chahe toa “I’ll link my card later” pe click kare.

Aur uske baad jo page ayega usme “Go To Your Account” pe click kare.

 

Step 6:

Aapke paas ek email ayega, aapki di hui email ID pe. Uspe ek link hoga email ID confirm karne ke liye. Mail me uss link pe click karke aapko usko verify karna hoga.

 

Step 7:

paypal verify kare

Aapka Account Ab create ho chuka hai. Ye waala Box aapka green hoga. Fir Link a Credit or Debit Card agar aap chahe toa click karke daal sakte hai. Fir aap “Confirm Mobile” pe click kare. Wo aapke mobile pe ek code (OTP)  bhejenge, uss code ko wapas waha pe daal ke submit karte hi aapka mobie confirm ho jayega. Email Aap confirm kar hi chuke hai toa wo green hoga. Ab aapko apna “Bank Account” Confirm karna hoga. Iske liye ispe click kare aur apne Bank Account ki saari details daal ke submit kare.

 

Aapse ye kuch “security questions”  bhi poochenge. Jinka istemaal tab hoga jub aap apna password bhool jaate hai toa. Aap un questions ke (choose karke) jawab de aur wo jawab yaad kar le.

 

Step 8:

Jaise hi aap apna bank account detail sahi se daalenge toa 1 se 7 din ke andar ye aapke Bank me 2 chote chote deposit karenge. Jaise 1.03 Rs ya 1.50 Rs. Jitna paisa aapke account me jama hoga utna hi exact amount aapko Apna account Paypal pe confirm karne ke liye daalna hoga. Jaise maan lijeye 1.15 Rs aaya account me aur 1.32 Rs aaya. Toa jub account confirm karna ho toa ye do amount daale.

Pooche jaane pe aapko apna “Purpose Code” bhi daalna hoga. Aap jo bhi purpose code ho (puri list hogi), use click karke submit kar de. Jadatar loag jo website se kamate hai “Advertising and market research” choose karte hai purpose code me.

 

Step 9:

Jo aapki email ID hai wahi aapka Paypal account number hai. Jub bhi koi aapse Paypal account mange aap apni email id de dijeye. Usi se paisa aapke paypal account me aa jayega.

 

Umeed karta hu ke aapko Paypal Account Banane Ka Aasaan Aur Sahi Tarika pata chal gaya hoga. Agar aapko iss Sahi Jaankari se Fayeda hua ho toa apne dosto ya jaane waalo ko bhi bataye aur ye jaankari share kare.

 

Agar aapko ye Blog padh kar achcha laga aur kuch achcha ya naya sikha aapne toa apne dosto ko bhi sikhaye. Aur unhe ye link share kare. Humari ye koshish rahegi ke aapko hum rozana kuch naya sikhaye.

Agar aapko humse kuch poochna hai toa comment me aap pooch sakte hai.

By Sahi Tarika

Sahi Tarika Ek Koshish hai Sabko HarCheez Ka Aasaan Aur Sahi Tarika Batane Ki. Ye Ek Educational Blog Hai, jisme koshish ki gayi hai bahut si baate batane ki jo hume roz ki zindagi me zarurat padti hai. Aapko humse kuch bhi poochna ho, ya koi nayi jaankari chahiye ho toa hume email kare [email protected]. Humari Koshish rahegi ke hum hamesha aapko Sahi Jaankari dete rahe.

One thought on “Paypal Account Banane Ka Aasaan Aur Sahi Tarika”

Leave a Reply