LLb

source:IAS Paper

 LLB

LLB ya bachelor of legislative law ek undergraduate course hai. 3 saal ka course hota hai aur 6 semesters me divided hota hai yeh. 6th-semester complete ho jaane ke baad students ko LLB ki degree di jaati hai. Jo students law padhna chahte hai lekin advocates ki practice nahi karna chahte hai wo 4th-semester complete karke LLB (general) ki degree le sakte hai. India me legal education ki body hai bar council of india. Law course ke 2 options hai graduation ke baad 3 saal ka llb course aur 12th ke baad 5 saal ka BA, LLB hons degree jo ek integrated course hai. Dono me se koi bhi ek tarike se aap Law ki degree prapt karke legal practice kar sakte hai.

Graduate like BA, BCom, BSc with min 40% marks (35% for sc/st)
Kaafi universities ya institutes percentage criteria rakh sakti hai jaise minimum 45% ya 50%. Yeh har university me alag ho sakta hai.

LLB ke liye entrance test bhi hote hai. Aaiye kuch entrance test ke bare me aapko bata deta hu
CLAT common law admission test ek all India entrance examination hai jo 11 national law universities me hota hai LLB aur LLM dono ke liye
LAWCET law common entrance test jo Andhra Pradesh ke colleges aur universities me hota hai
All India Law Entrance Test (AILET) jo National Law University (NLU) conduct karti hai
Delhi University Law Entrance Exam
Symbiosis Entrance Test (SET)
Bharati Vidyapeeth common entrance test (BVP CET)
AMU Law Entrance Exam Aligarh Muslim University Law Entrance Examination
Banaras Hindu University Undergraduate Entrance Test (BHU UET)

Entrance exam written test hota hai jisme questions reasoning, mathematics, engilsh, aur general knowledge se related hote hai. Entrance test ke baad personal interview bhi hota hai.