Indian Navy Artificer Apprentices Exam ki sahi jaankari

Indian Navy samundar me India ko suraksha pradan karti hai. Samundar se koi dushman andar na aajaye, iska ye khayal rakhte hai. Indian Navy me apply karne ke liye ek exam dena hota hi. Iss article me hum aapko Indian Navy Artificer Apprentices Exam ki sahi jaankaari denge.

Indian Navy Artificer Apprentices Exam ki sahi jaankari neeche likhi hai use dhayan se padhe

Indian Navy Artificer Apprentices ka exam saal me do baar hota hai. Ek toa June mahine ke time me hota hai aur dusra December ke mahine me. Iski adhik aur sahi jaankaari uss time ke Employment news aur dusre akhbaar me advertise ki jaati hai.

Eligibility Creteria: Jin candidates ki shaadi  nahi hui hoti, wo isme Apply kar sakte hai.

Educational Qualifications: 10th pass hona zaruri hai aur saath me 60% se jaada marks laana bhi zaruri hai.

Age Limit: kam se kam candidate ki umar 15 saal honi chahiye aur jada se jada 18 saal.

Body Structure: Chchati yaani chest ko kam se kam 5 cm tak adhik fulana zaruri hai . Aapki Health bhi achchi honi chahiye aur koi bimari nahi honi chahiye.  Kam se kam 157 cm ki height honi zaruri hai. Ankho ki roshni bhi achchi honi chahiye aur jade power ka chasma nahi hona chahiye warna chayan nahi hoga.

 

Application daalne ka tarika: Jaisa format Employment news ya newspaper me diya jayega, waise hi format me aplication form daalna hota hai. Ye format newspaper me hi achche se bataya jayega. Sahi tarike se fill kiya hua Application form  uss city ke concerned Zonal Recruitment Offices pe bhejna hoga jo ke newspaper me bataya jayega.

Selection ka Tarika: Jo candidate eligible honge aur unka form select hoga unhe written exam ke liye bulaya jayega. Written exam neeche likhe subjects me hoga:

  • Science
  • Mathematics
  • General Knowledge
  • English

English me comprehension, simple sentence ko transform karna, punctuation, tenses aur parts of speech poocha jaata hai.

Science me state of,matter Universe, Chemical bonding, Electricity, Gravitation, Newton's laws, Simple Harmonic Motion, Work and Energy, Heat, Light, Nuclear Energy, Metals and Nonmetals, Carbon aur uske compounds: Health aur Nutrition, Physiology ke sawaal pooche jaate hai.

 

Mathematics me Algebraic identities, Surds, Linear aur simultaneous equations, Basic Trigonometry, Geometry, Mensuration, Quadratic equations, Set theory, Polynomials aur Exponents ke sawaal pooche jaate hai.

General Knowledge me kaun kya hai, Sports, Entertainment, Indian History aur Geography, Discoveries aur Inventionsaur saath hi saath Computers se bhi sawaal pooche jaate hai.

Saare sawaal me aapko options diya jaate hai chahe toa aap English me jawaab de ya Hindi me. Ye sab sawaal Objective hote hai yaani ek sawaal ke 4 options diye jaate hai aur aapko ek answer choose karna hota hai. Total 75 min ka samay diya jaata hai sare sawaal ko karne ke liye. Ye saare sawaal 10th class ke book se hi pooche jaate hai.

Physical Fitness Test (PPT): In sab sawaalo ke alwaya safal candidate ko PPT yani Physical Fitness Test bhi dena hota hai joke aniwarye hota hai. Isme 16 Km ki daud lagani hoti hai sirf 7 minute me. 20 Uthak Baithak aur 10 push up bhi karne hote hai. Jo sahi se kar deta hai use pass kar diya jaata hai.

Indian Navy me ek exam aur hota hai, agar aap chahe toa uski jaankari bhi yaha pe paa sakte hai. Neeche diye gaye link ko click kare:

Indian Navy Dock Yard Apprentices Exam ki sahi jaankari

Agar aap saath hi saath Indian Army ke land division me bhi apply karna chahte hai toa, aapko neeche diye gaye kisi bhi ek exam me Apply kar sakte hai. Isme Soldiers ke liye bahali hoti hai.

Agar aapko ye article padh kar achcha laga aur kuch achcha ya naya sikha aapne toa apne dosto ko bhi sikhaye. Aur unhe ye link share kare. Humari ye koshish rahegi ke aapko hum rozana kuch naya sikhaye.

Agar aapko humse kuch poochna hai toa comment me aap pooch sakte hai.

By Sahi Tarika

Sahi Tarika Ek Koshish hai Sabko HarCheez Ka Aasaan Aur Sahi Tarika Batane Ki. Ye Ek Educational Blog Hai, jisme koshish ki gayi hai bahut si baate batane ki jo hume roz ki zindagi me zarurat padti hai. Aapko humse kuch bhi poochna ho, ya koi nayi jaankari chahiye ho toa hume email kare [email protected]. Humari Koshish rahegi ke hum hamesha aapko Sahi Jaankari dete rahe.

2 thoughts on “Indian Navy Artificer Apprentices Exam ki sahi jaankari”
  1. kya navy AA me physical fitness test aur medical test sab kuchh ek hi din me hota hai

    Aur merit list usi din jaari kar diya jaata hai

    1. Zaruri nahi hai ek hi din ho, alag alag din bhi ho sakta hai. Har naye form ke saath Instructions hote hai, usme bataya jaata hai. Aap ek baar dekh lena.

Leave a Reply