Ghar Baithe Apne Mobile Ko Adhar Se Aise Link Karaye- Sahi Jankari

Aaj ham aapko is article ke dwara yah btaynge ki kaise apne mobile ko ghar baithe adhar se link kara sakte hai. Mobile ke sim ko adhar se link krana aaj kal bahut jyada jaruri ho gaya hai.

To aise mai sabhi ko apne sim ko adhar se link karana pad raha hai. lekin bahut se log aise bhi hai. Jinke pas time nhi hota hai. Ki wo Retailer ke pas jake apne sim ko adhar se link karwaye. To aise logo ke liye bahut achhi baat hai ki wo ab ghar baithe ya office mai baithe baithe hi apne mobile sim ko adhar se link kara sakte hai.

Or aapko ek cheej or btade ki jin logo ka mobile number 31 march se pahle adhar se link nhi hua. To unka sim card band kar diya jayga.

Janiye Ki Kaise Kare Sim Verification Ghar Baithe-

Mobile ko adhar se link karane ke liye aapko in sabhi Steps ko Follow karna hai.

  • Yah jaruri nhi hai. Ki aap konsa sim use kar rahe hai. Aapko keval 14546 is number par call karna hai. Uske baad IVR options ko choose karna hai.Or ek cheej ka dhyan rakhiyega jab apne number ko verify kar rahe hai. Us waqt aapka Adhar card aapke pas hona chahiye.
  • Jaise hi 14546 par call karenge to aapse pucha jayga ki kya aap bharatiy hai. To aap apne option ko btaye gaye number dwara click karke confirm kariye.
    Ab aapko 1 number dawa kar apne Sim ko adhar se link karne ki permission denge.Iske baad ab aapko apne adhar card ke number ko dalna hai.or fir Comfirm karne ke liye pucha jayga to 1 number dawa kar aap confirm kariye.
  • Ab aapke number par ek OTP code aayga.Or uske baad aapko apna Mobile number dalna hai.Or ab aap Telecom operator ko UIDAI matlab adhar card ke data base se aapki photo,name,or date of birth ko fetch karne ki permission denge.
  • Itna karne ke baad IVR mai aapke mobile number ke 4 words ko btaya jayga.Jisse ki yah confirm ho jaye ki aapne sahi number diya hai.Ab agar aapka number sahi hai. To aapke pas aaye huye OTP ko istemal karna hai.
  • Adhar verification ki prakriya ko Confirm karne ke liye ab aap 1 click kare.Or agar aap ek sath apne 2 number ko adhar se link karna chahte hai. To 2 dabaiye. Or uske baad IVR ke dwara bataye ja rahe steps ko Follow karna hoga.Or dusri sim jise aap verify kara rahe hai. Use bhi apne pas hi rakhe. Kyoki us par bhi ek OTP aayga.
  • Is tarah se aap apne sim card ko re-verify kar sakte hai.

 

Yah Bhi Padhiye-

Band Ho Rahe Hain 2000 Ke Note, Jaane Poori Khabar|Sahitarika


Samsung Ne Launch Kiya 3G Phone Kimat 10,000 Se Bhi Kam


Bina Internet Ke Aise Chala Sakte Hai Paytm Janiye

By

Leave a Reply