CLAT Ke Taiyari Kaise Kare

CLAT ka full form Common Law Admission test hota hai,Ye exam saal me ek baar conduct keya jata hai..CLAT ka exam un logon ke lea hai jo LLB (Legum Baccalaureus) ya LLM ((Legum Magister) karne me intrest rakhte hai. CLAT ke taiyari kaise kare iska jawab aapko mai is blog ke dwara dunga .Iske pehle hm kuch zaruri

niyam joke CLAT ka hai wo jaan le .

India me Government certified 14 National Law University hai

  • National Law School of India University, Bangalore (NLSIU)
  • Dr. Ram Manohar Lohiya National Law University, Lucknow (RMLNLU)
  • Gujarat National Law University, Gandhinagar (GNLU)
  • Chanakya National Law University, Patna (CNLU)
  • National Law University, Odisha (NLUO)
  • National Law University & Judicial Academy, Assam (NLUJA)
  • National Law Institute University, Bhopal (NLIU)
  • The West Bengal National University of Juridical Sciences, Kolkata (WBNUJS)
  • National Law University, Jodhpur (NLUJ)
  • Hidayatullah National Law University, Raipur (HNLU)
  • National Academy of Legal Study & Research (NALSAR) University of Law, Hyderabad
  • Rajiv Gandhi National University of Law, Punjab (RGNUL)
  • National University of Advanced Legal Studies, Kochi (NUALS)
  • National University of Study 6 Research in Law, Ranchi (NUSRL)

Agar aapko in top colleges me admission chaheye to aapko in tariko ka istemaal kar ke preparation karna hoga,isse shayad aap CLAT exam crack kar paoge

Educational Qualification

LLB – 

LLM ke exam dene ke lea ye zaruri hai ke candidate 10 + 2 45 % ya zyada se pass kar chuka hai ya fir uske paas koe certificate ek recognised board ka hona chaheye. Candidates jo abhi 12th ke exam ke lea appear hue hai wo bhi CLAT ke lea appear kar sakte hain.

LLM –

LLM ke lea apply karne ke lea candidate ke paas LLB/B.L ya fir koe equivalent degree honi chaheye wo bhi ek recognised universiy se jisme ke uski percentage minimum 55 % honi chaheye

Preparation (Taiyari)

 

English

English ke taiyari ke lea aapko kuch chezon ke jaankari honi chaheye ke wo questions kis terah ka pucte hai. aapke wo proficiency check karte hai.aapko ek passage mil sakta hai jiske understanding se aapse kuch questions puce jaenge yaa aapko situations bhi mil sakta hai. Grammer section me aapse sentence ko correct karne ke lea aur fill in the blanks types questions aur jumbled word puch sakte hai,aapko english par kaafi mehnat karna hoga kyuki englih CLAT exam ka base hai.

Apne english ko improve karne ke lea aap  grammers ke book kharid sakte ho aur practise kar sakte ho. Aap daily english magzines  newspapers bhi padh sakte ho jisse ke aapka oral bhi theek hoga. 

Daily antonyms aur synonyms aur comprehensive exams bhi kar sakte ho.isse aapki practise aur fluency dono me farak mehsus karoge

 

General Knowledge And Current Affairs

Apne general knowledge ko theek karne ke lea aap ye steps follow kar sakte ho

Aapke aas paas ke happening ke baare me dhyaan rakhe. News dekhte rahe aur update rahe ke india me kya kya chal raha hai.

GK books ko bhi aap refer kar skte ho. Previous years question paper ko padh kar bhi ap idea le sakte ho questions ka.jetne bhi ho sake mock test attempt kare.Aapko ye online aaram se mil jaenge.

 

Mathematics

Apne saare concepts clear kar le  aur agar ho sake to Arihant ki book solve kare .Previous years queston ko aap refer kar sakte ho ,isse aapko idea mil jaega questons ka. Formulas ,Theorms ache se yaad kar le

 

Leagal Aptitude

Ye bahot main paperhota hai.Is paper ke zariye aapki situation handling capacity dekhi jaati hai.Aur ye bhi dekha jata hai ke aap law ke prati ketna dedicated ho aur aapko law ke baare me basic knoweledge hai ke nahi. Aapko certain situation mil sakte hai aur aapke reacting measures ko dekh sakte hain wo.

 

Logical Reasoning

Jetne bh previous years question hai pehle unhe solve kar le aur idea le le questions ke,fir aap online test le sakte ho,aese kai websites hai jiske zariye aap kai terah ka mock test le sakte ho .Time management ka dhyaan rakhe . Strategy plan kare questions solve kare se pehle. Tricks aue shor cuts seekhe jisse ke aap kuch questions ko aasani se kar paoge

 

Books

  • Common Law Admission Test (CLAT) by Student Aid Publications
  • Model Test Papers For CLAT & LL.B by A P Bhardwaj
  • CLAT 2013 Common Law Admission Test by Expert Compilations
  • CLAT And LLB Entrance Examination: Study Package by A. P Bhardwaj

 

Aasha karta hun ke aapo is blog e CLAT ke kaafi jankari mil gae hogi.Agar aap kuch janna chahte ho ya kuch puchna hai to aap comment kar sakte ho. Thanks ,Stay Connected.

By Sahi Tarika

Sahi Tarika Ek Koshish hai Sabko HarCheez Ka Aasaan Aur Sahi Tarika Batane Ki. Ye Ek Educational Blog Hai, jisme koshish ki gayi hai bahut si baate batane ki jo hume roz ki zindagi me zarurat padti hai. Aapko humse kuch bhi poochna ho, ya koi nayi jaankari chahiye ho toa hume email kare [email protected]. Humari Koshish rahegi ke hum hamesha aapko Sahi Jaankari dete rahe.

Leave a Reply