Bhool Gaye Hain FB ID Logout Karna, Jaane Kis Device Me Hai Login

Bhool Gaye Hain FB ID Logout Karna, Jaane Kis Device Me Hai Login. Aapne dekha hoga ki hm kai baar apni ID Login to karte hain. Par Logout krne ka yad hi nahi rhta hai. Is Aadat ki wajah se museebat ka samna bhi karna padta hai. Jaise ID ka hack hona ya kisi dost ke hath me aapka laptop lagna aur aapki personal details ka chhori hona etc.

To ham aapko is trick ki madad se ye yaad dila sakte hain ki aapne kaha- kaha apni ID Login ki hui hai, aur Logout karna bhool gaye hain. Ye trick aapki kafi madad karegi.

Aap apni ID sirf ek hi device me to login karte nahi hain. Ise aap apne company ke computer me, apne PC me aur apne mobile har jagah login karte hain. Ab jo hm trick bata rahe hain uski help se aap un sabhi device ke bare me jaan payenge jaha aapni ID Login ki hui hai.

Ye Bhi Jaane:

Ise seekhne ke liye neeche likhe hue steps ko follow kare:

  1. Agar Aap Mobile use kar rahe hain, aur Facebook App use kar rahe hain to oopar dikh rahi 3 lines par tap kare aur App Setting me jaayein.
  2. Agar Aap Laptop ya Computer use kar rahe hain, to right me dropdown ke option par click karein aur Setting me jayein.
  3. Ab Laptop aur Mobile dono me hi same tarika hai.
  4. Aapko Security and Login ka ek option dikh rha hoga, us par click karein.
  5. Where You’re Logged In likha dikhaayi dega jahaan se aap dekh sakte hain ki aapki ID kis-kis device me Login ki gayi hai.
  6. Isme Aapko device ke alawa Place ka naame bhi dikhega. Sath ki kis samay ye Login ki gayi thi uski bhi poori jankari milegi.
  7. See More par click karke aap aisi sabhi device ki jaankari le payenge jahan aapki ID abhi bhi login hai. Aise aap apni ID ko Logout karke safe kar sakte hain.

Aisi hi any jaankari ke liye hamaare sath jude rahiye.

By Sahi Tarika

Sahi Tarika Ek Koshish hai Sabko HarCheez Ka Aasaan Aur Sahi Tarika Batane Ki. Ye Ek Educational Blog Hai, jisme koshish ki gayi hai bahut si baate batane ki jo hume roz ki zindagi me zarurat padti hai. Aapko humse kuch bhi poochna ho, ya koi nayi jaankari chahiye ho toa hume email kare [email protected]. Humari Koshish rahegi ke hum hamesha aapko Sahi Jaankari dete rahe.

Leave a Reply