BBA

BBA
source: Education After 12th

BBA(Bachelor of Business Administration)

BBA yani (bachelor of business administration) BBA ek graduation program hai jo kuch universities me 3 years me toh kuch universities me 4 years me karaya jata hai.yeh ek bahut hi achha professional course hai.jo log BA, BCom se alag hath kar kuch karna chahate hai toh unke liye ye est selection ho sakta hai.

jaise ki iske naam se hi pata chalta hai ki BBA ek business base graduation program hai. isme aap business se related subject padte hai, jaise Marketing, Economics, Accounting, Business law strategic management, Human resource management jaise subject padhne padte hai.

BBA me admission prakriya any course ke mukabale bahut hi aasan hoti hai.BBA karne ke liye jaruri nhi aap kisi khash subjects me 12th pass ho, aap kisi bhi subjects se 12th pass karne ke baad bhi BBA me admission le sakte hai.iskeliye koi interence exam bhi nhi hiti hai.