Aaj ham aapko bataane ja rahe hain ki ghar baithe kaise apne Account ko Apne Aadhar number se link karte hain. EPFO ne aisi faciliy pradaan ki hai jiski sahayta se ye aasani se kia ja skta hai. Jaante Hain Kaise:

Umang Mobile App ke jariye aap apne aadhar ko EPF Account se ghar bethe link kar sakte hain. Sirf Itna hi nahi isse aap anek government sambandhi jaise income tax bharna jaise anek kaam bhi kar sakte hain.

Is App ko aap apne android ya iOS mobile me download kar sakte hain. Jab Aap Download karne ke baad App ko kholte hain to aapko kai Services Dikhaayi Dengi.

Account link krne ke liye niche likhe steps ko follow kare-

  • EPFO Sub-App par click karein.
  • Ab Aapko EPFO ki services dikhayi dengi. Un 4 services me se aapko ‘eKYC Services‘ pr click karna hai.
  • Iske Baad App Aapko do option dikhayega jisme se aapko ‘Aadhar Seeding‘ par click karna hai.
  • Yad Rakhein ki iske liye aapko aapke UAN Number ki aavashyakta pdegi.
  • Ab App Login karne ke liye aapse UAN Number aur OTP poochega.
  • OTP UAN Number se registered Mobile Number par aa jayega.
  • Ek Baar Verification poora hone ke baad aapko adhar details aur gender ki jaankari deni hai.
  • Verification Poora hone pr Aapka Aadhar Card Safaltapoorvak link ho chuka hoga.

Aisi Hi Any Jaankari Aur Updates Ke Liye Hamaari Website Sahi Tarika Se Jude Rahe.

Ye Bhi Jaane:

Apne Aadhaar Card Ka Address Online Kaise Badle? Sahi Jaankari

Phone Ke Khone Par WhatsApp Account Aise Kar Sakte Hain Recover

Online Transaction Karte Samay In Baaton Par Jaroor De Dhyan

By

Leave a Reply